Saturday, 24 December 2011

AW'RAADE FATEHA KA PROOF

*JAMIA AL'AZKAR "AW'RAADE
FATEHA" K Baare Me Fakhrul
Muhadiseen Hazrat Shah Wali'ullah
Muhaddise Dehalvi Ka Irshad
Giraami*
....
Nimaaze Fajar Ki Salaam Pherne K
Fouran Ba'ad Aw'raade Fateha
Shuru Karein. Aw'raade Fateha
Keemti Barkaat Me Se Hain Aur Iss
Ka Kalma Kher O Barkat Ka
Mu'wajjib Hain Aur Jo Shakhs
Khuzu Wa Khushu K Saath
Aw'raade Fateha Padhega Wo Iski
Barkat Ka Zarur Musha'heda
Karega Itna He Nahin Ba'lke 1400
Awliyae Kiraam Ki Wilayat Me Se
Hissa Payega, Aur Farmate Hain
Agar Iss Aw'raade Fateha K Faza'il
Wa Kha'waes Bayaan Kiye Jayenge
Tau Boht Waqt Saraf Hoga. Kyunki
Aa'n Jenaab(Hazrat Ameere
Kabeer Rehmatullahi Alayh) Ne
Saari Umr Shareef Me Ma'amoora
Aalam Ki 3 Martaba Sa'er Ki Aur
1400 Awliyaae Kami'leen Se Miley
Hain Inn Me Se 400 Awliyaae
Kiraam Ko Sultan Muhammad
Banda Khuda Ki Majlis Me Dekha
Hain Aur Har Wa'lee Se Rukhsat K
Waqt Dua Aur Ruq'aa Ki Iltima'as
Ki Hain Auq Inn Ruq'oun Ko Apne
Jaama'ye Mubarak K Saath Mar'qa
Kiya Hain Aur Inn Dua'oun Aur
Az'kaar Ko Jo Be' Ikhtiyaar Unki
Zubaane Faize Tarjumaan Par Jaari
Huwe Thay Jamah Kiya Hain Yahan
Tak Ki Iss Aw'raade Fateha Ka
Maj'mua'a Tayaar Hogaya Aur
Khud Hazrat Mir Syed Ali Hamdani
Rehmatullahi Alayh Se Man'qool
Hain Farmate Hain Ki Jab Me
Bar'weenh(12th) Martaba Ka'aba
Shareef Ki Ziyarat K Liye Gaya Tau
Masjid Aqsa'a Me Pahuncha Yahan
RasoolAllah Sallallahu Alaihi
Wassallam Ko Khwa'ab Me Dekha
Ki Iss Darwesh(Hazrat Ameer
Kabeer Rehmatullahi Alayh) Ki
Taraf Tashreef La Rahey Hain Me
Utha Aur Aap Sallallahu Alaihi
Wassallam K Saa'mne Ha'azri Ka
Sharaf Ha'asil Kiya Aur Arz O
Salaam Se Faraghat Pa Kar Aap
Sallallahu Alaihi Wassallam Ne
Apne Aa'steen Mubarak Se Ek Juz
Nikala Aur Mujh Se Farmaya "Khuz
Haa'zehil Fateha" Yaeni Iss Fateha
Ko Le Lo. Aap Rehmatullahi Alayh
Farmate Hain Jab Me Ne Huzur
Sallallahu Alaihi Wassallam K Das'te
Muqaddas Se Liya Aur Nazar Ki
Tau Yehi Aw'raade Fateha Thee
(Jisko Awliyaae Kiraam Se Ha'asil
Kiya Tha) Aur Issi Isha'ra Se Iss
Maj'mua'a Az'kaar Ka Naam
Aw'raade Fateha Rakha Gaya.
>Intiba'a Fee Salaasile Awliya'a
(Persian Book) Written By Shah
Wali-Ullah Muhaddis Dehalvi
Rehmatullahi Alayh
*An'faase Quddsiya(Urdu
Translation Of The Book Intiba'a
Fee Salasille Awliya), Page: 36, 37
Written By Maulana Qasim Shah
Bukhari Rehmatullahi Alayh.

No comments:

Post a Comment